Lyrics: Prasoon Joshi
Singer: Shankar Mahadevan
One of the best lyrics EVER. Yes Ever. Hats off.
The lines in BOLD are awesome.
Dekho Inhein Yeh Hain Oos Ki Boondein
Patton Ki God Mein Aasmaan Se Koodein
Aandayee Lein Phir Karwat Badal Kar
Nazuk Se Moti Hans De Phisal Kar
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
Yeh To Hain Sardi Mein Dhoop Ki Kirane
Utarein Jo Aangan Ko Sunhera Sa Karne
Mann Ke Aandheron Ko Roshan Sa Kar Dein
Thithurti Hatheli Ki Rangat Badal Dein
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
Jaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya
Aur Nindiya Mein Meetha Sa Sapna
Aur Sapne Mein Mil Jaaye Farishta Sa Koi
Jaise Rangon Bhari Pichkari
Jaise Titliyan Phoolon Ki Kyari
Jaise Bina Matlab Ka Pyara Rishta Ho Koi
Yeh To Aasha Ki Lehar Hain
Yeh To Ummeed Ki Sehar Hain
Khusiyon Ki Nehar Hain
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
Dekho Raaton Ke Seeney Pe Yeh Toh
Jhilmil Kisi Lau Se Ugey Hain
Yeh To Ambiya Ki Khusboo Hain
Baagon Se Beh Chale
Jaise Kaanch Mein Choodi Ke Tukde
Jaise Khiley Khiley Phoolon Ke Mukhdey
Jaise Bansi Koi Bajaye Pedon Ke Taley
Yeh To Jhonke Hain Pawan Ke
Hain Yeh Ghungharoo Jeewan Ke
Yeh To Sur Hain Chaman Ke
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
Muhaley Ki Raunak Galiyan Hain Jaise
Khilney Ki Zid Par Khaliyan Hain Jaise
Muthi Mein Mausam Ki Jaise Hawayein
Yeh Hain Buzurgon Ke Dil Ki Duwayein
Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par
Kabhi Baatein Jaise Dadi Nani
Kabhi Chalkein Jaise Mmm Mmm Paani
Kabhi Ban Jaaye Bhole Sawaalon Ki Jhadi
Sannatey Mein Hansee Ke Jaise
Sooney Hothon Pe Khushi Ke Jaise
Yeh To Noor Hain Barse Gar Teri Kismat Ho Badi
Jaise Jheel Mein Lehraye Chanda
Jaise Bheed Mein Apne Ka Kandha
Jaise Manmauji Nadiya Jhaag Udaye Kuch Kahe
Jaise Baithe Baithe Meethi Si Jhapki
Jaise Pyar Ki Dheemi Si Thapki
Jaise Kaanon Mein Sargam Hardam Bajti Hi Rahe
Jaise Barkha Udati Hai Bundiya...
Source: Hindilyrix
No comments:
Post a Comment